2 Tarika PDF File Me Lage Password Ko Remove Karne Ke Liye..
Main yanha par aapko 2 method bataunga jisse aap badi hi asani se kisi bhi password pdf file se password ko remove karke uske andar ka content padh sakoge .
- 1. online site ka use karke pdf ka password remove kaise kare
- 2. AnyBizSoft PDF Password Remover software ka use karke password remove karna
1. Online Site Ka Use Karke Pdf Ka Password Remove Kaise Kare
Agar aap koi software ka use nhi karna chahte ho to aapko bata du ki bina software ke bhi aap kisi bhi pdf ka password remove kar sakte ho .Bahut si aisi online websites hai jo pdf me lage encryption ko crack kar deti hai lekin main aapko ek bahut hi popular website ke bare me bataunga jo badi hi asani se password crack karti hai ,aur uska user interface bhi bahut easy hai jisse usko use karna bahut hi aasan hai .Online website me aapko bas apni pdf file jisme password laga hai usko upload karna hota hai bas aur baaki kaa kam wo website khud hi kar deti hai.
To chaliye dekhte hai kaise online pdf password remover website ka prayog karke password ko apni pdf file se puri tarah se hatate hai.
Step:1) Sabse pehle aap is website http://www.pdfunlock.com/ par jayiye ,yahi wo online website hai jo pdf ka password remove karne me humari help karegi ,ye meri favorite online pdf password cracking site hai.
Step:2) Iske baad ab website ko puri tarah se load (khul ) jane dena
Step:3) Ab kya karna hai aapko simply ek box hoga us par likha hoga my computer ka us par click karna aur apni pdf file ki location me jakar usko select kar dena ,aur apni pdf file ko upoad kar dena .

Step:4) Iske baad aap unlock button par click kar dena ,isse aapki password lagi hui pdf file upload hone lagegi aur kuchh samay ke baad aapke samne ek nayi screen khul kar aayegi jisme aapki pdf file ka password remove ho chuka hoga
Step:5) Ab simply us pdf file ko wanha se download kar lena ,ab aap jab us pdf ko kholenge to dekhenge ki usme koi bhi password nhi manga jayega aapse.
Is tarah aapne bina kisi 3rd party softare ka use krke pdf ka password tod diya hai .Is method ki ek problem hai ki maan lo aapki pdf file ka size bahut bada hai to aapko us file ko upload karne me jyada time lagega to fir aise me aapko software ki jarurat padti hai ,to uske liye neeche bala method dekhiye jisme maine ek software ka use karke password ko remove kiya hua hai.

2. Software Ki Help Se PDF Se Password Remove Karna
Step:1) Sabse pehle aapko ek software apne computer me download karna hoga ,jiska naam hai AnyBizSoft PDF Password Remover ,lekin ye software free me available nhi hai isko kharidna padega aapko ,lekin aap iska trial version download kar sakte hai aap isko google par search karke download kr sakte hai.
Step:2) Iske baad AnyBizSoft PDF Password Remover software ko open karna hai apne computer me.
Step:3) Jaise hi aap is software ko open karoge to ek screen khul kar aayegi wanha likha hoga getting started ,jiske neeche ek option hoga Add fileska,simply isi par click kar dena aur apni pdf file ko select kar dena jisme password laga ho.
Step:4) Ab aap neeche screen me dekhna wanha par ek option hoga output folder ka ,isme aapko wo location dalni hai janha par aapki pdf file save ho jayegi jakar aur usme koi bhi password nhi rahega.
Step:5) location dalne ke baad simply wanha par ek button hogi start ki is button par click kar dena .
Step:6) Jaise hi start par click karenge to pdf ka password remove hone lagega aur dekhte hi dekhte aapke samne ek new screen aayegi jisme aapke pdf ka password likha hoga .
Step:7) Aise aapko apne pdf ka password pata chal jayega ,aur aap apni pdf ko khol payenge isi password ki help se .Jab aap apni pdf ki password protected file kholenge usme password mangenge simply yahi password daal dena .

POSTED BY - DKRAJ GIRSI KNP
Comments
Post a Comment